Wo Mujhse puchte hai tu kya hai…
Mai kya kahu unko//
Mai kya kahu ki tu dua hai saugaat hai,
ishq ki mohabbat ki wo unkahi si baat hai,
yaar hai, khumar hai , mera pehla pehla pyaar hai,
mere jeene ka adhar hai,
mere ramzaan ka iftar hai,
mai bekar sa hafta hu tu meri sukkoon wali itvar hai
tu pyaar ki abohava hai,
mai kya kahu ki tu kya hai!!
Fir wo mujhse poochhte hai tu lagti kaisi hai…
mai kya kahu unko//
Mai kya kahu ki tu to kalio jaisi lgti hai,
banaras ki chhoti galiyo jaisi lgti hai,
ye jo zulfe teri kali hai, ye jo hotho ki lali hai,
ye jo chehre par masoomiyat hai,
ye to rasgulla bangali hai,
ye jo kano ki baali hai,
ye jo mooh pr banarasi gaali hai,
ye jo meri bekhali hai mai kya kya batau unhe…
Fir wo mujhse poochhte hai tu rehti kaha hai…
mai kya kahu unko//
mai kya kahu ki Tera ghar to ye dil hai,
tujhe kirayedar kehna ye bhi to mushkil hai,
gar intahaa hai koi,
to tu hi hai faazil hai,
gar pehle se koi tha dil me,
to tu uska kaatil hai,
tu hi itihaas hai dil ka
tu hi mustakbil hai,
gar tu mere pas hai ,
to har khushi haasil hai,
ab to ye hawae v kehti hai,
mai kya kahu ki tu kaha rehti h….
Fir wo mujhse poochhte hai tu krti kya hai…
mai kya kahu unko//
Mai kya kahu ki tu is dil pr raaj karti hai,
mai dil ka mareez hu tu ilaaj karti hai,
mere dil me dhadkan thodi hai,
tu andar baithi hai awaz karti hai,
aajkal gungata hai lgta hai tu riyaaz karti hai…
mai kya kahu ki tu kya krtui hai…
aur jab wo mujhse poochte h ki tu nhi mili to mai bas yahi kehta hu,
aisa kabhi dil me khayal uthta hi kaha hai…
to ispr koi chhand likhne ka sawaal uthta hi kaha hai….
~शाएन RAJPUT