Raat ki galiyon me,
Darbadar ghumta hua,
Ped ki gilahri ko,
Beinteha chumta hua,
Mauj hi mauj hai,
Uski zabaan Mei,
Bijli si tez hai,
Uski udaan me,
Bhatak bhatak kar,
Din kaate hai,
Roz nayi nadi
Naape hai,
Kya chamak hai
in aankhon me,
Mehek phool ki,
Hai saanson me,
Koi swaang na koi saajish,
Naa Kisi Bangle ki hai khwahish,
Aasma ki sidhi chadhne ki,
Bas ek iski farmaaish
Hawaa me hai naaw chalata,
Titliyon sang prem rachaata,
Indradhanush ke saat rang ko,
Apne kram me ye sajaata,
Uchhal uchhal kar boond
Os ki chehre ko mehsus karata,
Ungliyon ka baandh banaa fir,
Kya paani ki dhaar giraata,
Haan kya paani ki dhaar giraata…